Zinda toh hoon, par zinda nahi,

Shayad, kisi ki yaad mein khoyi hoon kahin.

Mera apna wajud kahin kho sa gaya tha,

Mere apno ko maine chod sa diya tha.

Jab aankhe khuli meri, tab main samjhi main soyi hui thi,

Kisi ke pyaar mein, me apne aap ko kho gayi thi.

Pyaar toh tha jayaz, lekin tha toh kuch adhura sa,

Koshishein bahut ki humne, par dhundh na sake jaisa pyaar chahiye tha waisa.

Ab ghum toh nahin hai, bas ek kami mehsoos hoti hai,

Ek dost ko khoya maine, ab bas uski yaadein bachi hai.